>> Ek baar teen sardar sochte hain ki ghar se door jaake party manaainge
>> teeno daru sharu leke nikal padte hai
>> pahad aata hai to cross karte hai
>> phir nadiyan cross karte hai
>> phir jungle cross karte hain
>> phir ek maidaan aata hai
>> hariyali dekh kar sochte hain yahi par baith jaate hain aur khoob daru pite hai
>> phir samaan kholke baithte hai
>> dekhte hai ki soda to bhul hi gaye
>> to sabse bada sardar chchote wale ko kahta hai
>> oye TINKU jaa yaar soda le aa
>> tinku kahta hai nahi yaar ghar bahut door hai
>> aur mein joonga to tum Chakhna khaa jaooge
>> bada wala (Pappi singh) kahta hai oye nahi khaenge yaar
>> tinku kahta hai nahi yaar mein nahi jaa raha
>> mein jaoonga to tum chakhna kha jaooge
>> pappi singh kahta maa ke saugandh nahi khaaenge
>> tinku kahta mujhe der hojayegi ghar bahut door hai
>> aur phir tum kasam tod doge aur chakhna khaa jaooge
>> pappi kahta hai nahi todege kasam
>> to tinku chala jaata hai
>> ek din ho jata hai tinku nahi aata
>> do din tak nahi aata
>> ek hafta tak nahi aata
>> ek mahina tak nahi aata
>> ek saal ho jaata hai tinku nahi aata
>> do saal ho jaate hai
>> pappi doosre sardar se kahata hai
>> abe yaar do saal ho gaye tinku nahi aaya
>> chakhna kharaab sa hone laga hai
>> chal thoda sa kha hi lete hai
>> jaise hi dono sardar chakhne ko haath lagate hain....tinku jhadiyon se nikalta hai aur kahta >> hai : OYE CHAKHNE KO HAATH
>> LAGAYA TO JAAOONGA NAHI!!
Saturday, March 3, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment